Sabhi grantho ka kendra (focus) hamara chanchal man hay. Hindi scripture mein Indra ko man kaha gaya hay. Puraano ki kathaon mein dekhiye. Indra swarg mein raj karta hay, ayesh aur aaraam (worldly pleaures) mein kho jaata hay, Prabhu ko bhool jaata hay. Raakshas, Asur log kathin tap kar ke, siddhi (enlightenment) prapt kar ke Brahma, Vishnu, Mahesh se vardaan maang kar Indra se swarg ko jeet lete hay. Indra bhaag kar Prabhu ke paas jaate hay, Prabhu koi na koi upaaye nikaal kar swarg fir Indra to de dete hay. (Sounds familiar ? )
All the great granths of the world constantly teach us how to control our mind.
Ramayan ki pahli prasangh Shiv Ji se shuruwaat hoti hay - RCM Doha 48 mein. The reason for starting the Ramayan with Shiv Ji is given in Doha 104
Man se vikaar (7 shatru) ko hatao to man swatch, nirmal, vimal ho jaayega.
Man ke saath mein Satya (truth) hoga, shradha (dedication) hogi, tabhi sukh ki prapti hogi.
Raja Manu (Man) Rani Satroopa (satya) ke saath mein bahut bahut samay tak tap kiya (shradha se) - tab Prabhu (Param Anand) ka darshan huwa !
दो0-प्रथमहिं मै कहि सिव चरित बूझा मरमु तुम्हार।
Pratham hi may kahi Shiv charit, Boojha maram tumhaar;
सुचि सेवक तुम्ह राम के रहित समस्त बिकार।।104।।
Suchi sewak tumh Ram ke, Rahit samast vikaar.सुचि सेवक तुम्ह राम के रहित समस्त बिकार।।104।।
Bhardwaaj Muni (Bhakt) ne Yagyavalakya Muni (Guru) se Ram Ji ke baare mein poocha tha (Doha 46) , par unho ne Shiv Ji ke katha se uttar diya - Kyu ?
Us jamaane mein Shiv bhakt, Krishna Bhakt, Ram Bhakt, Vishnu Bhakt, etc...apne Ist Deo ko sab se bada maante the, Aur kisi bhagwan par vishwaas nahi tha. Bahut jhagra maar peet hota tha - Abhi bhi bahut se log apne Prabhu ko sab se uncha maante hay, doosre Prabhu ko neecha ya ghatiya maante hay.
Jab tak sabhi Prabhu ko Ek hi na pahchaanane lago, sammaan (respect) karne lago, tab tak man swatch nahi huwa. SAB KA MAALIK EK !
Yahaan samjhaate hay Yagyavalakya Ji ki Shiv Ji ki katha sunaa kar may ne aap ke maram (dil ki baat, man ki gati) ko jaan liya. Ram bhakt hote huwe aap ne Shiv katha itni priti se, shradha se suni, may jaan gaya aap ek swatch, nirmal man waale, vikaar rahit, sacche Prabhu bhakt ho.
दो0-एहि बिधि बीतें बरष षट सहस बारि आहार।
Yahi bidhi beete barash shat, Sahas baari aahaar;
संबत सप्त सहस्त्र पुनि रहे समीर अधार।।144।।
Sambat sapt sahastra puni, Rahe Sameer adhaar.संबत सप्त सहस्त्र पुनि रहे समीर अधार।।144।।
भगत बछल प्रभु कृपानिधाना। बिस्वबास प्रगटे भगवाना।।
Bhakt bacchal Prabhu Kripa Nidhaana, Vishwa vaas pragate Bhagwaana.Hindu scripture, like all other holy books, has enormous lessons for a wonderful happy life. Guru jano ki kripa se, Prabhu ki asheervaad se - whatever I understand I try to explain in my tooti-footi words. Please do not misinterpret this as Updesh - I'm not trying to lecture you ! This is not an Adesh - I'm not trying to order you around ! Please accept this as a beautiful Sandesh - a message of happiness, freedom and a small step towards the ultimate goal !
Hamaare Guru Jan ki Jay Ho !
Guru Ji baar baar samjha rahe hay, bata rahe hay, gyan baat rahe hay, lekin mere mun mein utna hi gaya jo mere choti buddhi samajh saki
Muskuraate raho !
So I can, and I will, only tell you what I have understood. This may not be the best you have heard, please forgive me and my little brain !
No comments:
Post a Comment