श्री रामचंद्र जी की स्तुति
वन्दौ चरण कमल रघुनन्दन ||
जिनकी कृपा सकल सुख सम्पति,
पद पावन भक्तन उर चन्दन || वन्दौ चरण ……
अवधपुरी प्रभु नित्य विराजत,
जनक सुता युत्त दुष्ट निकन्दन || वन्दौ चरण ……
तीन ताप अरु जनम मरन भय,
दूर करत क्षण मे जन रंजन || वन्दौ चरण ……
मिश्र नवत चर्णन मे भगवन,
कृपा करहुं सेवक भव भंजन || वन्दौ चरण ……
Vandao Charan Kamal Raghu Nandan
Jinki Ki Kripa Sakal Sukh Sampati
Pad Paawan Bhaktan Ur Chandan…. Vandao Charan
Awadh Puri Prabhu Nitye Viraajat
Janak Suta Yutt Dusht Nikandan…. Vandao Charan
Teen Taap Aru Janam Maran Bhaye
Door Karat Kshan Mein Jan Ranjan…. Vandao Charan
Mishra Nawat Charnan Mein Bhagwan
Kripa Karahu Sewak Bhao Bhanjan…. Vandao Charan
Attempted Translation
Vandao (Vandana, pranaam) Charan Kamal (Kamal jaise sundar pag) Raghu Nandan (Shri Ram)
Hum Shri Ram Prabhu ki Kamal Jaise sundar, komal charno ki vandana, pranaam karte hay.
Woh kamal jo taalaab ki gandhagi se upar uth kar apne aap ko aisa khilaata hay ki aas paas ki watavaran ko shudh aur nirmal kar deta hay, khushiyaan bikher deta hay. He Prabhu ! Hum ko bhi Kamal ki tarah banaane ki prerana dijiye.
Jinki Ki Kripa (Aap ki Kripa se) Sakal Sukh Sampati (Jiwan ke sabhi sukh sampati) Pad (charan) Paawan (Pavitra) Bhaktan Ur (Hriday) Chandan…. Vandao Charan
Hamaari saari sampati (gaardi, bangla, paisa, pariwaar, dost) aap ke hi kripa aur aasheervaad ka Prasad hay. Aap ke paawan pavitra charno mein mun lagaane se bhakton ka hriday ka dukh-dard mit jaata hay, jaise chandan ke lep se deh ki jalan, khujlahat door ho jaati hay. (That is why you see chandan put on babies heads after mundan, also seen when heads shaved during funeral rites)
Awadh Puri (Hriday) Prabhu Nitye (all the time) Viraajat (present)
Janak Suta (Maa Sita, Bhakti) Yutt (saathi) Dusht (Vikaar) Nikandan (naash) (…. Vandao Charan
Awadh Puri yahan hriday ka prateek (symbol) hay. Mata Sita bhakti ka prateek hay. Jin bhakton ke hriday mein Aap hamesha vaas karte ho (jo tumhe hamesha yaad karte hay) un ke hriday se Kaam, Krodh, Lobh aadi vikaaron ka Aap naash kar dete hay. He Prabhu ! Hum prathana karte hay ki hamare vikaaron ka bhi vinaash kijiye.
Teen Taap (Adhyatmik, Dayvik, Bhowtik) Aru Janam Maran Bhaye
(I could not find any reference or meaning for this line. If anyone could kindly assist please !)
Door Karat Kshan Mein Jan (Sajjan) Ranjan (Dukh)…. Vandao Charan
Bhakto ke, sajjan, gyaniyo ke kasht ko, dukh ko ek kshan mein hi door kar dete ho, mita dete ho. He Prabhu ! Hamare ander ke dukh, daaridra, andhkaar ko bhi naash kijiye
Mishra (misri) Nawat (being offered) Charnan Mein Bhagwan
Kripa Karahu Sewak Bhao (Sansaarik Dukh) Bhanjan (End, Finish)…. Vandao Charan
Misri ke roop mein apne sar ko Aap ke charno mein chardha rahe hay, atma-samarpan (surrender) mein jhuka rahe hay. Hum Aap ke sewak hay, hum par kripa kijiye, daya kijiye, is bhao sagar ke aawa-gawan (life & death cycle) se chutkaara dilaayiye, mukti karaayiye.
Note:
अध्यात्मिक Adhyaatmik – Spiritual, aatma se sambandhit
दैविक Dayvik – Divinely, Devta sambandhit
भौतिक Bhowtik – Sansaarik, material. भौतिक सुख सुविधा – Creature comforts, personal comfort
Please ignore my ignorance and build on whatever seems of any use to you.
Muskaraate Raho
No comments:
Post a Comment