Guru Jan Ko Pranaam !!
Mithila Ka Var-Aasan – Attempted Explanation
Jab Rishi Vaalmiki se Ram Ji ne van mein rahne ke sthaan poonche, to unho ne 14 sthaan bataaye. (RCM 2/126-131)
Ye 14 sthaan kya hai ? 5 x Gyan Indriyaan; 5 x Karm Indriyaan, Mun, Buddhi, Chit aur Ahankaar.
5 gyan indriyaan aur 5 karm indriyon ke baare mein hum pahle sun chuke hay. Mun, Buddhi, Chit aur Ahankaar hamaare hriday ke antaraal mein sthit hay.
Ram raajye hay democracy, equality, fairness, respect, living without fear or favour. Ram raajye ki sthaapna se pahle apne hriday ke chaaro aasan par vijay paana hoga.
Hamaare Guru Jan ka mat hay ki Ram Charit Manas ki Mithila hamaara mun hay. Sab se pahle har praani ko apne chanchal man par niyantran (control) karna hoga. Mun hi daso indriyon ka raja hay. Mun bas mein ho gaya to sabhi indriyaan shaant aur ekaagra (concentrate) ho jaayengi.
Mithila ka aasan Raja Janak ne pradaan kiya tha. RCM mein Raja Janak gyaani ka prateek (symbol) hay.
Ek gyaani hi apne gyan se mun par shaashan (rule) karne ka upaay bataa sakta hay. Binaa gyan ke mun par raaj nahi kiya ja sakta.
मिथिला का वर-आसन – Attempted Explanation
जब ऋषि वाल्मीकि से राम जी ने वन में रहने के स्थान पूंछे, तो उन्हों ने १४ (14 ) स्थान बताये. (RCM 2/126-131)
ये 14 स्थान क्या है ? 5 x ज्ञान इन्द्रियाँ; 5 x कर्म इन्द्रियाँ, मन, बुद्धि, चित्त और अहंकार.
5 ज्ञान इन्द्रियाँ और 5 कर्म इन्द्रियों के बारे में हम पहले सुन चुके है. मन, बुद्धि, चित्त और अहंकार हमारे ह्रदय के अंतराल में स्थित है.
राम राज्ये है democracy, equality, fairness, respect, living without fear or favour. राम राज्ये कि स्थापना से पहले अपने ह्रदय के चारो आसन पर विजय पाना होगा.
हमारे गुरु जन का मत है कि राम चरित मानस कि मिथिला हमारा मन है . सब से पहले हर प्राणी को अपने चंचल मन पर नियंत्रण (control) करना होगा. मन ही दसो इन्द्रियों का राजा है. मन बस में हो गया तो सभी इन्द्रियाँ शांत और एकाग्र (concentrate) हो जायेंगी.
मिथिला का आसन राजा जनक ने प्रदान किया था . RCM में राजा जनक ज्ञानी का प्रतीक (symbol) है.
एक ज्ञानी ही अपने ज्ञान से मन पर शाशन (rule) करने का उपाय बता सकता है. बिना ज्ञान के मन पर राज नहीं किया जा सकता.
Any anomalies in these attempted translations are not meant to confuse you, but an indication of a lack of knowledge on my part.
Please correct it and use as you may see appropriate.
Please correct it and use as you may see appropriate.
Muskuraate Raho
More information at.....
Join us on Facebook http://www.facebook.com/people/Sanjivini-Ras/100002222406300
No comments:
Post a Comment