Sunday, March 25, 2012

81 - Bhay Pragat Kripaala Deendayaala- Part 2

Ram Ram, Namaste, Hare Krishna, Namaskaaram, Sai Ram, Bula, Salaam, Sat Shri Akaal ! 
Guru Jan Ko Pranaam !!   
 
Undoubtly, this will be the most sung Cchand during Ram Naumi, All around the world. 

It is a very long Cchand so we have split it in 2 parts. 


ब्रह्मांड निकाया निर्मित माया रोम रोम प्रति बेद कहै।
Brahmaand nikaaya nirmit maya rom rom prati Ved kahe
Maya se rachi (nirmit, made) huwi aneko (nikaaya, lots) Brahmaand aap ke rom rom (hair on your body) mein hay, aisa Ved, Puraan ne bataya hay.

मम उर सो बासी यह उपहासी सुनत धीर पति थिर न रहै।।
Mum ur so baasi yah uphaasi sunat dhir pati thir na rahe
Aap ka itna bhaari viraat roop hay. Agar koi kahe ki Aap mere udar (garv, stomach) mein rahe (vaas) ho, to ye to hasi mazaak ki baat hogi ! Koi bhi dhir (serious) buddhi waale ka man bhi sthir (thir) na rah payga, has (smile) dega.
उपजा जब ग्याना प्रभु मुसकाना चरित बहुत बिधि कीन्ह चहै।
Upja jab gyaana Prabhu muskaana charit bahut bidhi keenh chahe
Jab mata ko gyaat (realisation, came to her senses) huwa ki viraat (unfathomble) Prabhu mere udar mein kaha chip (hide) sakte hay, ye to unka ek charit (leela, naatak) hay -  tab Prabhu muskaan (smile) karte hay
कहि कथा सुहाई मातु बुझाई जेहि प्रकार सुत प्रेम लहै।।
Kahi katha suhaai maatu bujhaai jehi prakaar sut prem lahe
Muskuraa kar Prabhu Kashyap-Aditi, aur Manu-Satroopa ki katha sunaate hay. Mata ko samjhaate (bujhaate) hay ki aap ne hame putra ke roop mein manga tha. Ab may aa gaya hoo aap ko putra sukh dene ke liye. Aap is sukh ka anand looto.
माता पुनि बोली सो मति डौली तजहु तात यह रूपा।
Mata puni boli so mati doli tajahu taat yah roopa
Prabhu ki baat sun kar mata ki mati (buddhi) doli (pariwartan, change). Abhi tak Prabhu ke roop mein dekhti thi, ab putra ka sukh paana chahti hay. Prabhu se vinati karti hay ki he taat, yah adbhut, chaturbhuj roop ka tyaag (give up) kijiye.
कीजै सिसुलीला अति प्रियसीला यह सुख परम अनूपा।।
Kijay sisuleela ati priye sila yah sukh param anoopa
He Prabhu ! Is chaturbhuj roop ko tyaag kar ab sishu (baalak, baby) leela kijiye. Kaise kijiye ? Ati (extreme) priye (love) sila (bhavna, feeling, affection) se. Yah sukh param anoopa (upma rahit, unmatched, uncomparable). Ek mata aur unke bacche ke beech jo pyar hota hay, wahi prem Prabhu aur unke bhakt ke beech hota hay. Kewal do hi jagah par waatsalye shabd prayog (use) kiya jata hay. Ek Prabhu waatsalye hay aur doosri mata ka pyaar waatsalye hay. Waatsalye kya hay ? Unconditional love ! Badle mein (in return) woh kuch nahi chahti hay ! Sada deti hi rahti hay ! Hamaari maa to anoopa hay, unki tarah to koi hay hi nahi ! Aaj SABHI mataao ko pranaam !
सुनि बचन सुजाना रोदन ठाना होइ बालक सुरभूपा।
Suni bachan Sujaana rodan thaana hoi baalak Surbhupa
Mata Kaushalya ki baat (bachan) sun kar Sujaan (Prabhu, sabhi kuch jannane waale), Sur (Devta) Bhoop (raja, king). Jo samast (all) devtaao ke raja hay, aaj Kaushalya ke god mein baal leela karte huwe, chote bacche ki tarah rone (rodan) lage. Delivery room mein jab baccha paida hota hay to jor se rota hay. Agar nahi rota to daktar uske chootar par ek thappad lagaata hay !
यह चरित जे गावहिं हरिपद पावहिं ते न परहिं भवकूपा।।
Yah charit je gaawahi Haripad paawahi ten a parahi bhowkoopa
Yah Prabhu ki leela ko jo samajh jaayega, wahi Hari (Prabhu) pad (charan) kamal paa sakta hay. Jo Prabhu ke prem ko pa liya, bhakti ko pa liya, use phir jeevan mein sukh hi sukh, phir kabhi dukh jhelna nahi padta
दो0-बिप्र धेनु सुर संत हित लीन्ह मनुज अवतार।
निज इच्छा निर्मित तनु माया गुन गो पार।।192।।
Vipra Dhenu Sur Sant hit Leenh manuj autaar
Nij iccha nirmit tanu maya gun go paar

Vipra, Dhenu, Sur aur Sant – ye pryayvaachi (synonyms, similar meaning) hay.
Vipra = Brahman. Yaha brahman ka arth jo satsangh se gyan prapt karke samaaj ko baat-ta hay, samaaj ko upar uthaata hay, samaaj ko bhramit nahi, samaaj ka kalyaan karta hay.
Dhenu = Bhakti. Gaay bhakti ka roop hay. Bhakt jan bhi sada samaaj ka kalyaan hi karte hay, bhed bhao, unch neech ko tyaag kar sabhi ko ek samaan dekht hay. Bhakti mayi Mata Shabri se Prabhu yahi kahte hay. Saatwa bhakti - सातवँ सम मोहि मय जग देखा। Jo saare samaaj ko Prabhu ki drishti se dekhta hay. जाति पाँति कुल धर्म बड़ाई। Jaati, kul, dharam, badaai,  ye sab mai nahi maanta. मानउँ एक भगति कर नाता।। May kewal ek bhagti ki nata ko maanta hu !
Sur = Devta. Jo samaaj ko deta jyaada hay aur leta kam hay, wahi Devta hay. Sada samaaj ki kalyaan hi karta hay. Surya devta, Chandrama devta, Wayu devta – sabhi ko ek baraabar, bina bhed baho ke, dete rahte hay.
Sant = gyaani, Vairaagi. Sabhi kuch tyaag kar bas samaaj kalyaan mein apna jeevan bita dete hay. Na ghar na pariwaar ki chinta. Saara sansaar ghar hay aur saara samaaj pariwaar hay. मोतें संत अधिक करि लेखा।। Sant jano ko mujh se adhik maan sammaan dena !
Ye chaaro shabd acche (good) jan ka prateek hay. Jo bhi log in chaar varn (caste) mein nahi padta who Asur (raakshas, evil, monster) kahlaata hay.
 Sant, Sujaan logo ko Raakshaso se bachaane ke liye hi Prabhu le manush roop mein autaar liya hay.
.
May this Ram Naumi bring enlightenment in our lives.  Uunch-Neech, Naari-Purush, Dhani-Nirdhan, Kaala-Gora, Sidha baar- Tedha baar, Sanatan-Arya Samaj, Hindu Vs others,  in sabhi bhed baho ko Prabhu hamaare man se dheere dheere nikaale.


Any anomalies in these attempted translations are not meant to confuse you, but an indication of a lack of knowledge on my part.
Please correct it and use as you may see appropriate.

 Muskuraate Raho  

No comments:

Post a Comment