Sunday, November 21, 2010

12 - Chatnaar Vriksha

From: sanjivini_ras@hotmail.com
Subject: 12 - Chatnaar Vriksha
Date: Fri, 15 Oct 2010 04:08:28 +1030




OM Shri Ganeshaaye Namaha ! OM Shri Saraswatey Namaha ! OM Bhur Bhwah Swah, Tat Savitur Vareniyam Bhargo Dewasye Dhimahi, Dhiyo yo Nah Prachodyaat !

Ram Ram, Namaste, Hare Krishna !

Apne apne Mata, Pita aur Guru Jan ko yaad kar lein !
Raaste mein chalte chalte jab garmi aur dhoop sataane lagti hay to hame ek chatnaar vriksha (shady tree) ki talaash hoti hay.

Jiwan ke safar mein chalte chalte jab dukh (garmi) aati hay to hame apna dharm (Chatnaar Vriksha) yaad aata hay. Dharm yahan Mano Dharam nahi balki Religion or caste samajhiye – Sanatan, Arya Samaj, Islam, Isai, Sikh etc.


Ek baag mein aath das ped (trees) ho, unko hum dharm ya jaat maan lein. Alag alag dharm ke log apne apne ped ke neeche ja kar baythte hay, Chaya ka anand lete hay. Doosre ke ped ko dekh kar sanshay (suspicious) mein rahte hay. Apni apni ped ko sabse sundar, sabse acha, sabse bada maante hay. Bhao (emotion) mein aa kar koi bhadka de to ladne ke liye tayaar ho jaate hay hum.

Ye bhool jaate hay ki sab pedo ke chaya ka karan hay Surya Bhagwan – us ka koi jaat nahi, varan (Brahman, Chatri, Vays, Sudra) nahi, dharm (religion) nahi, sabhi ko ek nazar se dekhta hay. Bina Suraj ke Chaya ho nahi sakti ! Jo chaya pradaan karta hay, jo us vriksha ko chatnaar banaata hay, us Bhagwan ko  hum moorakh log bhool kar, ped (Jaat) ke peeche lad padte hay ?

Kahi dharma ke peeche jhagda, kahi varan (caste) ke peeche jhagda !

Gyani aata hay, ped ke neeche bayth kar anand leta hay, Prabhu ko dhanyevaad deta hay aur aage ko badh jaata hay !

Khushi aap ki – Gyani banoge ya .....?

Please excuse my mistakes, build on the good bits and enlighten those around you.

Muskuraate Raho
Sanjivini_Ras

No comments:

Post a Comment