Sunday, November 21, 2010

17 - Prabhu Ka Ghar

From: sanjivini_ras@hotmail.com
Subject: 17 - Prabhu Ka Ghar
Date: Sun, 14 Nov 2010 15:56:41 +1030



OM Shri Ganeshaaye Namaha ! OM Shri Saraswatey Namaha ! OM Bhur Bhwah Swah, Tat Savitur Vareniyam Bhargo Dewasye Dhimahi, Dhiyo yo Nah Prachodyaat !

Ram Ram, Namaste, Hare Krishna, Namaskaaram, Sai Ram, Bula, Salaam, Sat Shri Akaal !
 
Apne apne Mata, Pita aur Guru Jan ko yaad kar lein !

 
Brij ya Biraj Prabhu ka dhaam hay. (Biraj mein khele Kishan Kanhai !)
 

Biraj = Bi + Raj

Bi is the prefix meaning without

Raj (pronounced ruj) means dhoor (dust)

श्रीगुरु चरन सरोज रज, निज मनु मुकुरु सुधारि।
Shiri Guru Charan Saroj Ruj, Nij man mukuru sudhari (Hanuman Chalisa)

Apne Guru Ji ke charan kamal mein jo dhoor hay, Guru Jan se prapt gyan se hum apne mun ke mukur (mirror) par pade mayl hata kar mun ko saaf aur swatch bana sakte hay !


So, ruj means dhoor, dhoor means mayl (dirt), mayl means aswatch, apavitra, apawan - things that hinder us, prevent us from reaching our goal.

Satruta hi hame apne manzil tak pahunchne mein rok rahi hay.

Satru kaon hay ?  Satru = Saat + Tru
Satru is derived from 2 words. Saat means seven (7) and Tru comes from Trutiyan, kamzoriyan - things that hinder us, prevent our life from being perfect.
Kaam, Krodh, Lobh, Moh, Madh, Eersha, Alasya. (they have many relatives - we'll visit them later)
Lust, Anger, Greed,ignorance, pride, envy, Sloth
7 Deadly Sins:
wrath, greed, sloth (laziness), pride, lust, envy, and gluttony (over indulgence in food & drinks - Kumbhkaran ?)

Saara jiwan hum apne aas paas, pariwaar mein, pados (neighbour) mein satru (enemy) ko dhoondh rahe hay. Jab gyan upje ga to maloom hota hay ki satru hamare ander hay.

Yahi Saat Satru Mun (mind ?) ko idhar-udhar dowda rahe hay, buri-bhali karm karne mein mazboor karte hay !
Bhakti se, Sadhna se, Shradha se, Gyan se mun ko bas mein (control) kiya ja sakta hay. Jab mun bas mein ho to Atma ko Brahmha (Paratma) se milaya ja sakta hay - isi ka naam YOG (Yoga) hay !

Mun se satruta ko mitaane ka naam hay mun ko saaf karna - yaane mun se mayl (ruj) hataana !

Jis mun (dil) mein mayl nahi, ruj nahi, wahi mun BIRAJ hay ! Biraj atma hi Abadh (Awadh, Ayodhya) hay !

Wahi Biraj mein, Awadh mein Prabhu waas karte hay !

 
Prabhu ki Jay ho ! Hamaare Guru Jan ki Jay Ho !

तदपि कही गुर बारहिं बारा। समुझि परी कछु मति अनुसारा।।
Tadpi kahi Guru baarahi baara, Samujhi pari kachu mati anusaara.
भाषाबद्ध करबि मैं सोई। मोरें मन प्रबोध जेहिं होई।। (1/31)
Bhaasha baddh karbi may soi, More mun prabodh jehi hoi.
So I can, or I will, only tell you what I have understood. This may not be the best you have heard, please forgive me and my little brain !

Guru Ji baar baar samjha rahe hay, bata rahe hay, gyan baat rahe hay, lekin mere mun mein utna hi gaya jo mere choti buddhi samajh saki

No comments:

Post a Comment