Sunday, November 21, 2010

16 - Deepawali - Naya Andaaz

From: sanjivini_ras@hotmail.com
Subject: 16 - Deepawali - Naya Andaaz
Date: Mon, 8 Nov 2010 11:40:11 +1030


  OM Shri Ganeshaaye Namaha ! OM Shri Saraswatey Namaha ! OM Bhur Bhwah Swah, Tat Savitur Vareniyam Bhargo Dewasye Dhimahi, Dhiyo yo Nah Prachodyaat !

Ram Ram, Namaste, Hare Krishna, Namaskaaram, Sai Ram, Bula, Salaam, Sat Shri Akaal !
 
Apne apne Mata, Pita aur Guru Jan ko yaad kar lein !


Hamare Guru Jan Diwali Ko Ek Nayi Andaaz Mein Samjha Rahe Hay !


Ayodhya ko Awadh ya Abadh bhi kahte hay.  Badh means to kill or destroy. Abadh means "jo jalaya, mitaya, nahi ja sake...Ajar, Amar, Ajanma"

Abadh kya hay ? Jeev (Soul) hi Abadh hay, Ayodhya hamara Jeev ke samaan hay !

Jab Ram Ji (Gyan), Sita Mata (Bhakti), aur Lakshman (Vairag) Ayodhya (Jeev) ko chord kar gaye to Awadh mein bahut dukh huwa, saari janta dukhi ho gayi !

घोर जंतु सम पुर नर नारी। डरपहिं एकहि एक निहारी।।6
Ghor jantu sum pur nar naari, Darpahi ekahi ek nihaari.घर मसान परिजन जनु भूता। सुत हित मीत मनहुँ जमदूता।।7
Ghar masaan parijan janu bhoota, Sut hit meet maanahu jamdoota. (RCM 2/83)
Nagar ke Stri-Purush bhayanak jantu (jeev) ke samaan hay, Ek doosre ko dekh kar darte hay !
Ghar marghat (samshaan) aur kutumbi (pariwaar) jaise bhoot lagte hay.
Sadhu Matamaon (Atri, Valmiki, Agastya) se mil kar, siksha pa kar, Daya dharam pyar baate (Shabri) huwe tapowan mein ghooma. Raaksho (Khar, Dooshan, Ravan) ko maar kar wapas Awadh laote.

Hamare mun mein jab agyanta, bure bichaar, abhimaan, Jalan, mad-bhed, halchal karti hay to Sukh, Shanti, Vairag hame chord kar chale jaate hay.  Paschataap se, Sadhu Sant ke samagam mein, Satsangh mein, gyan prapt kar ke hum apne andar ke shatru ko, moh ko, maar sakte hay.  

Gyan, Vivek ki bridhi se Asur, Rakshasi sena maari jaati hay. Sab shatru mar jaate hay, yane, koi dushman ya kisi se dushmani nahi rahi. Jab ye stithi aati hay tab Anand, Khushi, Vairag, Bhakti phir se Jeev se mil jaate hay.

सुनत सकल जननीं उठि धाईं। कहि प्रभु कुसल भरत समुझाई।।
Sunat sakal janani uthi dhai, Kahi Prabhu kusal Bharat samujhai
समाचार पुरबासिन्ह पाए। नर अरु नारि हरषि सब धाए।। (RCM 7/3)
Samachaar Purwaasinh paay, Nar aru naari harashi sab dhaay.


Prabhu ka aagman sun kar teeno maatay, aur pur ke sabhi log, nar aur naariyan, sabhi mein khushi cha gaya.
Isi yog ka naam Diwali hay ! Anand, Khushi, Vairag, Bhakti ka Jeev ke sangam se jo khusi hoti hay usi ka naam hi Diwali hay !

Koshish kare ki jis se nahi pat-ta ho, ya kam pat-ta ho, un ke taraf ek pyar ka kadam badhaaye. Shatruta kam karne ka naam hi Diwali hay.


Prabhu ki Jay ho ! Hamaare Guru Jan ki Jay Ho !

Please excuse my mistakes, build on the good bits and enlighten those around you.

Muskuraate Raho

No comments:

Post a Comment