Sunday, November 21, 2010

18 - Baali Kaon Hay ?

From: sanjivini_ras@hotmail.com
Subject: 18 - Baali Kaon Hay ?
Date: Sat, 20 Nov 2010 23:47:07 +1100


OM Shri Ganeshaaye Namaha ! OM Shri Saraswatey Namaha ! OM Bhur Bhwah Swah, Tat Savitur Vareniyam Bhargo Dewasye Dhimahi, Dhiyo yo Nah Prachodyaat !

Ram Ram, Namaste, Hare Krishna, Namaskaaram, Sai Ram, Bula, Salaam, Sat Shri Akaal !
 
Apne apne Mata, Pita aur Guru Jan ko yaad kar lein !

Baali Kaon Hay ? (Who is Baali ?)

Itne saalon se hum kitne grantho mein Baali ki kathaen sunte aa rahe hay. Aur sabhi raakshason ko haarte huwe suna hay, lekin Baali ko kabhi kisi se haarte huwe sune ho ?  

Raavan jaise mahaan yodha ko apne kakcha (underarm) ke neeche 6 months dabaaye ghoom raha tha. Anye grantho mein bataate hay ki Baali ke saamne koi dushman aata tha to us dushman ka aadha bal, taakat Baali ke paas chala jaata tha. Dushman ka aadha bal Baali le leta, yaane Baali jis ke aage aata hay wo kamzor ho jaata hay.  

Kis ke aage hum kamzor ho jaate hay ?  Hamaara KARAM !

Karam jub sundar hota hay, dharma yukt hota hay, bhalaai ka hota hay, to bahut sukh, anand, yash, gaurav deta hay.

Karam jub bura, behuda, ghatiya hota hay to kuch din jhootha sukh mahsoos hota hay. Jub karam ka chakra badalta hay to hamaara banaa-banaaya sansaar haath se ayse fisalne lagta hay jaise samudra ke kinaare ka baalu, ret (sand) paani mein bahne lagta hay, haath kitna hi kas ke band karo, dheere dheere sab baalu bah jaata hay !

Raja Dashrath ke haath Sarwan Kumar maara gaya. Andhe maata pita ne bhao vibhor (uncontrollable anger) ho kar, dukhi ho kar, shraap de diya. Bahut din tak Raja raj kiye, teen raaniya, chaar putra ho gaye, maan sammaan bahut ho gaya. Jab Karam ka chakra badla to Kekai ke aage bebas, shaktiheen ho kar bheekh maangta tha. (Kekai bhi Karam hai)

Apne Karam ke aage manushye bebas, shaktiheen, asamarth (powerless) ho jaata hay.

Karam jab saamne aata hay to bade se bade taakat waale, paisa waale, izzat waale (Tiger Woods, Shane Warne, Bill Clinton) sabhi ka sar (head) sharm se jhuk jaata hay, koi bachaa nahi sakta.

दो0-कह मुनीस हिमवंत सुनु जो बिधि लिखा लिलार।
Kah Muneesh Himwant sunu, Jo Bidhi likha lilaar
देव दनुज नर नाग मुनि कोउ मेटनिहार।।(1/68) Balkand
Dev Danuj Nar Naag Muni, Kou na metanhaar
Narad Muni, Raja Himachal se kahte hay ki Jo Brahma (Bidhi) ne Mata Parvati ke maathe (lilaar, forehead) par likh diya use in mein se (Dev Danuj Nar Naag Muni) koi nahi mitaa sakte hay. To kaun mita sakta hay ?

Jab aatma, jeev (Sugreev) Prabhu (Bramha, gyan) ko praapt karta hay, tab Prabhu hi hamaare bure karam ko mita sakte hay, maar sakte hay.

Isi liye Ram Ji ko aana pada Baali ko maarne ke liye !

Prabhu ki Jay ho ! Hamaare Guru Jan ki Jay Ho !

तदपि कही गुर बारहिं बारा। समुझि परी कछु मति अनुसारा।।
Tadpi kahi Guru baarahi baara, Samujhi pari kachu mati anusaara.
भाषाबद्ध करबि मैं सोई। मोरें मन प्रबोध जेहिं होई।। (1/31)
Bhaasha baddh karbi may soi, More mun prabodh jehi hoi.
So I can, or I will, only tell you what I have understood. This may not be the best you have heard, please forgive me and my little brain !

Guru Ji baar baar samjha rahe hay, bata rahe hay, gyan baat rahe hay, lekin mere mun mein utna hi gaya jo mere choti buddhi samajh saki

No comments:

Post a Comment