Sunday, November 21, 2010

14 - Satsangh Ki Mahima - Part 2

From: Sanjivini Ras [mailto:sanjivini_ras@hotmail.com]
Sent: Thursday, 28 October 2010 12:31 PM
Subject: 14 - Satsangh Ki Mahima - Part 2

OM Shri Ganeshaaye Namaha ! OM Shri Saraswatey Namaha ! OM Bhur Bhwah Swah, Tat Savitur Vareniyam Bhargo Dewasye Dhimahi, Dhiyo yo Nah Prachodyaat !

Ram Ram, Namaste, Hare Krishna, Namaskaaram, Sai Ram, Bula, Salaam, Sat Shri Akaal !

Apne apne Mata, Pita aur Guru Jan ko yaad kar lein !

 
Satsangh Ki Mahima 2 -  no co-incidences in life
(Koi istafaak nahi hay jeewan mein)

Gidh ke pankh katne ke turant baad Tulsidas Ji hame pahaad par baythe bandaron se milate hay.
गिरि पर बैठे कपिन्ह निहारी। कहि हरि नाम दीन्ह पट डारी।।
Giri par baythe Kapinh nihaari, Kahi Hari naam deenh pat daari (3/29/13)
Giri – Parvat, pahaad, mountain;  Kapinh – Bandar, Bhaloo; Nihaari – Dekha; Hari Naam – Ram Naam; Pat – jholi, jhori, bag made of cloth; daari – fek dena, throw.

Ravan ke kabze mein, dukhi, Rotee, chillati, asahay Mata Sita dekhti hay ki ek parvat ke choti par paanch Bandar bhaloo baythe hay.

This is confirmed by Sugriv in Kishkindha Kand...(4/5/2)
गगन पंथ देखी मैं जाता। परबस परी बहुत बिलपाता।2
Gagan panth dekhi may jaata, Parbas pari bahut bilpaata.
राम राम हा राम पुकारी। हमहि देखि दीन्हेउ पट डारी।।
Ram Ram ha Ram pukaari, Hamahi dekhi deenheu pat daari.
Gagan Panth – Aakash ke marg, aerial route; Parbas pari – Paraaye mard ke bas mein padi, forcefully captured by another man; Bilpaata – bilapti, chillati, bahut dukhi, extremely distressed.

Ek picture dikha raha hay Tulsi Das Ji....ek akeli naari, gayr mard ke fande mein, chillati hay, bilaapti hay, pukaarti hay madad ke liye. Paanch maha parakarmi yodha bayth kar dekh rahe hay, koi madad nahi kiya. Ek boodha Gidh madad karte huwe apna pankha kata liya. (Latchman ko bada kroda aaya jab ye katha sune).

Why ?

Gidh  ko Satsangh ka phal mil gaya, unke ander ke aatma mein gyan ka unjaala ho gaya.

Paanch Bandar-bhaloo  – Sugriv, Hanuman Ji, Nal, Neel & Jaamwant. Jab tak Prabhu ka sangh, mahapurush ka sangh, gyan ka sangh nahi huwa, tab tak unke ander ki shakti viksit nahi huwi.

Baad mein hum dekhenge ki ye sabhi Maharathi yodha hay. Ravan to hara kar Mata ko bacha sakte the. Duniya ke sabhi kone mein dhoodh kar Ravan ka pata laga liye, Samudra paar kar ke, Ravan se lad kar, Mata Sita ko le aane mein Prabhu ki sahayta karte hay.

Hum saara jiwan apne saathi, sambandhiyon ke sangh bayth kar apne hi bare mein baate karte rahte hay. Apna jiwan, apna pariwaar, apna ghar, apna daulat ! Kewal swarath (Selfishness) ! Parmarath (Selflessness) ka gyan jaagta nahi jab tak satguru nahin milenge.

Sugriv akhand gyaaniyon ke sangh hay, par sabhi kewal yahi bichaar kar rahe hay ki Baali se raj kaise waapas liya ja sakta hay. Apne aap mein itna pre-occupied hay ki ek dukhi naari ki pukaar nahin sunai padi ! Sugriv represents us – the Jeev.

Binu Satsangh Vivek Na Hoi, Ram Kripa Binu Sulabh Na Soi.
Without Satsangh one cannot achieve wisdom. You can be very learned, very intelligent, very knowledgeable, but to be wise you need to be surrounded by even wiser people.
Satsangh is for everybody. Not everybody gets the opportunity. Not everybody takes the opportunity when one is offered.

Guru Jan kahte hay:

Snaan ka samay ho to kaam chord kar snaan kar lo;
Bhojan ka samay ho to das (10) kaam chord kar bhojan kar lo;
Bhajan ka samay ho to sow (100) kaam chord kar Bhajan kar lo;
Satsangh ka awsar mile to hazaar (1000) kaam chord kar Satsangh kar lo !

Koi istafaak (co-incidence) nahi hay ki Gidh ke turant baad Goswami Ji hame Bandar, bhaloo se milaate hay !


Prabhu ki Jay ho ! Hamaare Guru Jan ki Jay Ho !

Please excuse my mistakes, build on the good bits and enlighten those around you.

Muskuraate Raho
Sanjivini_Ras

No comments:

Post a Comment